1 Sidqiyāh 21 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 11 sāl thā. Us kī māṅ Hamūtal bint Yarmiyāh Libnā Shahr kī rahne wālī thī. 2 Yahūyaqīm kī tarah Sidqiyāh aisā kām kartā rahā jo Rab ko nāpasand thā. 3 Rab Yarūshalam aur Yahūdāh ke bāshindoṅ se itnā nārāz huā ki āḳhir meṅ us ne unheṅ apne huzūr se ḳhārij kar diyā.
12 Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar kī hukūmat ke 19weṅ sāl meṅ bādshāh kā ḳhās afsar Nabūzarādān Yarūshalam pahuṅchā. Wuh shāhī muhāfizoṅ par muqarrar thā. Pāṅchweṅ mahīne ke sātweṅ din [c] us ne ā kar 13 Rab ke ghar, shāhī mahal aur Yarūshalam ke tamām makānoṅ ko jalā diyā. Har baṛī imārat bhasm ho gaī. 14 Us ne apne tamām faujiyoṅ se shahr kī pūrī fasīl ko bhī girā diyā. 15 Phir Nabūzarādān ne sab ko jilāwatan kar diyā jo Yarūshalam meṅ pīchhe rah gae the. Wuh bhī un meṅ shāmil the jo jang ke daurān ġhaddārī karke Shāh-e-Bābal ke pīchhe lag gae the. Nabūzarādān bāqīmāndā kārīgar aur ġharīboṅ meṅ se bhī kuchh Bābal le gayā. 16 Lekin us ne sab se nichle tabqe ke bāz logoṅ ko Mulk-e-Yahūdāh meṅ chhoṛ diyā tāki wuh angūr ke bāġhoṅ aur khetoṅ ko saṅbhāleṅ.
17 Bābal ke faujiyoṅ ne Rab ke ghar meṅ jā kar pītal ke donoṅ satūnoṅ, pānī ke bāsanoṅ ko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ aur Samundar nāmī pītal ke hauz ko toṛ diyā aur sārā pītal uṭhā kar Bābal le gae. 18 Wuh Rab ke ghar kī ḳhidmat saranjām dene ke lie darkār sāmān bhī le gae yānī bālṭiyāṅ, belche, battī katarne ke auzār, chhiṛkāw ke kaṭore, pyāle aur pītal kā bāqī sārā sāmān. 19 Ḳhālis sone aur chāṅdī ke bartan bhī is meṅ shāmil the yānī bāsan, jalte hue koele ke bartan, chhiṛkāw ke kaṭore, bālṭiyāṅ, shamādān, pyāle aur mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan. Shāhī muhāfizoṅ kā yih afsar sārā sāmān uṭhā kar Bābal le gayā. 20 Jab donoṅ satūnoṅ, Samundar nāmī hauz, hauz ko uṭhāne wāle pītal ke bailoṅ aur bāsanoṅ ko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ kā pītal tuṛwāyā gayā to wuh itnā waznī thā ki use tolā na jā sakā. Sulemān Bādshāh ne yih chīzeṅ Rab ke ghar ke lie banwāī thīṅ. 21 Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ aur gherā 18 fuṭ thā. Donoṅ khokhle the, aur un kī dīwāroṅ kī moṭāī 3 inch thī. 22 Un ke bālāī hissoṅ kī ūṅchāī sāṛhe sāt fuṭ thī, aur wuh pītal kī jālī aur anāroṅ se saje hue the. 23 96 anār lage hue the. Jālī ke irdgird kul 100 anār lage the.
24 Shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ne zail ke qaidiyoṅ ko alag kar diyā: imām-e-āzam Sirāyāh, us ke bād āne wāle imām Safaniyāh, Rab ke ghar ke tīn darbānoṅ, 25 shahr ke bache huoṅ meṅ se us afsar ko jo shahr ke faujiyoṅ par muqarrar thā, Sidqiyāh Bādshāh ke sāt mushīroṅ, ummat kī bhartī karne wāle afsar aur shahr meṅ maujūd us ke 60 mardoṅ ko. 26 Nabūzarādān in sab ko alag karke sūbā Hamāt ke shahr Riblā le gayā jahāṅ Shāh-e-Bābal thā. 27 Wahāṅ Nabūkadnazzar ne unheṅ sazā-e-maut dī.
31 Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn kī jilāwatanī ke 37weṅ sāl meṅ Awīl-marūdak Bābal kā bādshāh banā. Usī sāl ke 12weṅ mahīne ke 25weṅ din [d] us ne Yahūyākīn ko qaidḳhāne se āzād kar diyā. 32 Us ne us ke sāth narm bāteṅ karke use izzat kī aisī kursī par biṭhāyā jo Bābal meṅ jilāwatan kie gae bāqī bādshāhoṅ kī nisbat zyādā aham thī. 33 Yahūyākīn ko qaidī ke kapṛe utārne kī ijāzat milī, aur use zindagī-bhar bādshāh kī mez par bāqāydagī se khānā khāne kā sharf hāsil rahā. 34 Bādshāh ne muqarrar kiyā ki Yahūyākīn ko umr-bhar itnā wazīfā miltā rahe ki us kī rozmarrā zarūriyāt pūrī hotī raheṅ.
<- Yarmiyāh 51
Languages