1 Mere bhāiyo, āp meṅ se zyādā ustād na baneṅ. Āp ko mālūm hai ki ham ustādoṅ kī zyādā saḳhtī se adālat kī jāegī. 2 Ham sab se to kaī tarah kī ġhaltiyāṅ sarzad hotī haiṅ. Lekin jis shaḳhs se bolne meṅ kabhī ġhaltī nahīṅ hotī wuh kāmil hai aur apne pūre badan ko qābū meṅ rakhne ke qābil hai. 3 Ham ghoṛe ke muṅh meṅ lagām kā dahānā rakh dete haiṅ tāki wuh hamāre hukm par chale, aur is tarah ham apnī marzī se us kā pūrā jism chalā lete haiṅ. 4 Yā bādbānī jahāz kī misāl leṅ. Jitnā bhī baṛā wuh ho aur jitnī bhī tez hawā chaltī ho nāḳhudā ek chhoṭī-sī patwār ke zariye us kā ruḳh ṭhīk rakhtā hai. Yoṅ hī wuh use apnī marzī se chalā letā hai. 5 Isī tarah zabān ek chhoṭā-sā azu hai, lekin wuh baṛī baṛī bāteṅ kartī hai.
13 Kyā āp meṅ se koī dānā aur samajhdār hai? Wuh yih bāt apne achchhe chāl-chalan se zāhir kare, hikmat se paidā hone wālī halīmī ke nek kāmoṅ se. 14 Lekin ḳhabardār! Agar āp dil meṅ hasad kī kaṛwāhaṭ aur ḳhudġharzī pāl rahe haiṅ to is par sheḳhī mat mārnā, na sachchāī ke ḳhilāf jhūṭ boleṅ. 15 Aisā faḳhr āsmān kī taraf se nahīṅ hai, balki duniyāwī, ġhairrūhānī aur Iblīs se hai. 16 Kyoṅki jahāṅ hasad aur ḳhudġharzī hai wahāṅ fasād aur har sharīr kām pāyā jātā hai. 17 Āsmān kī hikmat farq hai. Awwal to wuh pāk aur muqaddas hai. Nīz wuh amnpasand, narmdil, farmāṅbardār, rahm aur achchhe phal se bharī huī, ġhairjānibdār aur ḳhulūsdil hai. 18 Aur jo sulah karāte haiṅ un ke lie rāstbāzī kā phal salāmatī se boyā jātā hai.
<- Yāqūb 2Yāqūb 4 ->